Ajeeb Raahein

Jeevan ke safar mein kuch raahein aisi dekhi hai

Kahi mehsoos hui mann mein kashmakash

Aur kinara choomne se katraaye hum

Kahi hawaaon mein thi ajeeb si tanhaayee

Phir bhi apne rooh ki pukaar sun na paaye hum

Jeevan ke safar mein kuch raahein aisi dekhi hai

Jab takraaye hum tumse inhi raahon mein

Waqt kho baithe tumhari masoom nigahon mein

Kiya na pyaar ka izhaar, na door rehne se inkaar

Phir bhi qaid mein the tumhare saare jazbaat

Din badal gaye saalon mein

Hoton se ek labs bhi na nikla

Shaayad darr tha tumhe khone ka

Shaayad aham ki jeet aur pyaar ki haar

Bichadne ka samay aa raha tha

Haath badhaane ka lamha kho gaya

Aisi thi dastaan humaari ankahee ki

Zindagi ke panno mein ek kahaani si