Lonely in a Crowd

Through all those years of pain and sorrow
Every moment a testimony of my thorny existence
Never did my bleeding heart make a sound
I guess that is why I feel loneliest in a crowd

Deception was his favourite pastime
Betrayal, the dagger in his cloak
Plunged deep into the small of my back
All it gave my dead emotions was a blood soak

Friends enjoyed the drama, society the show
As our relation rotted with time and tide
Not a soul offered a hand or a hug
All the social voyeurs saw it end blow by blow

The fear of death engulfs me such
I have nowhere to run or hide
Redemption is not a choice much
Just want a reassurance by my side

Once the life of every social meet
Now I sink into an obscure corner
Today I’m struggling to find my feet
And the air of unsureness takes me further

Through all those years of pain and sorrow
Every moment a testimony of my thorny existence
Never did my bleeding heart make a sound
I guess that is why I feel loneliest in a crowd

Lakshya Ki Awaaz

Dil toot gaya tha pyaar ke bazaar mein
Sapne bikhar gaye the zindagi ki giraft mein
Jazbaat jo samete the chun chun kar
Choor hue dheere dheere waqt ke gujarne se

Bhool gayi thi woh saans lene ki tehzeeb
Sar par junoon tha samaaj se ladhne ka
Par jab apno ne hi peeth par kiya waar
Saamne aayi do dhaari duniya ki asli tasveer

Lekin waqt ke sannaton se ladhti hui
Rooh pe giri umeed ki ek kiran
Chal padi woh apni rah phir se banane ko
Iss jahaan se duur apni manzil ki dagar par

Himmat hai ab bhi iraadon mein bohot
Buland hai dil-o-dimaag ka sandes
Ijaazat ki zaroorat nahi usse kisi aur ki
Lakshya paane apna chali woh pardes

Ajeeb Raahein

Jeevan ke safar mein kuch raahein aisi dekhi hai

Kahi mehsoos hui mann mein kashmakash

Aur kinara choomne se katraaye hum

Kahi hawaaon mein thi ajeeb si tanhaayee

Phir bhi apne rooh ki pukaar sun na paaye hum

Jeevan ke safar mein kuch raahein aisi dekhi hai

Jab takraaye hum tumse inhi raahon mein

Waqt kho baithe tumhari masoom nigahon mein

Kiya na pyaar ka izhaar, na door rehne se inkaar

Phir bhi qaid mein the tumhare saare jazbaat

Din badal gaye saalon mein

Hoton se ek labs bhi na nikla

Shaayad darr tha tumhe khone ka

Shaayad aham ki jeet aur pyaar ki haar

Bichadne ka samay aa raha tha

Haath badhaane ka lamha kho gaya

Aisi thi dastaan humaari ankahee ki

Zindagi ke panno mein ek kahaani si